The Sms World

Urdu Latest Sms

Home
Zuhair Favorite
Blank page
Urdu Sms
Weekly Sms
Punjabi Sms
Cool Sms
Sms Special Collection
Funny Poetry
GoodLuck Sms
Miss You Sms
Eid Mubarak Sms
NewYear Sms
Islamic Sms
Friendship Sms
Wise Words
Birthday Sms

Pyar Me Maut Se Darta Kaun Hai;Pyar Ho Jata Hai Karta Kaun Hai;Aap Jaise Yaar Par Duniya Kurban,Aur Aap Puchte Ho Ki Hum Par Marta Kaun Hai.

Rishta Ulfat Ka Yun Nibaya Jata Hai Ashk Pikar bhi Muskuraya Jata Hai Aise b Mod Aate Hai Muhabbat Me Kisike Khatir Khudko Mitaya Jata hai.

waqt har dard ki dawa banjati hai,
kabhi paas toh kabhi duur lejati hai
taklif hoti nahi is dard se....kyuki
dard khud dawa ban jati hai...........

"Dil ko adat si ho gai he chot khane ki,
bhigi palko ke sang muskrane ki,
kash anjam hum pehle se jaan jate,
to kosish bhi nahi karte dil lagane ki. "

"Khubsurat hai zindagi khwaab ki tarah,
jaane kab tut jaye kanch ki tarah ,
kisi mod pe mulakat ho gai hamari to
ankhen mat modna anjano ki tarah"

 

Woh Bewafa Nikli Tu Kia Hua
Kuch Dino Ka Tu Saath Neebhaya Tha
Tarpta Hua Choor
Gaye Tu Kia Gilla
Tarapna Bhi Tu Ussi Nay Seekhaya Tha

Hum Jaisey Dost Hotay Nahin Sabhi K Liey
Yeh Tohfa Hai Kisi Kisi K Liey
Kion Jala Rakhi Hai Shamma Bhuja Di Jiey
Kia Hum Kam Hain Roshni K Liey

PiyaR Se Tab TaK PiyaR Na KaRo..
Jab Tak PiyaR App sey PiyaR Na Karey
OuR JAb APp sey PiyaaR KArey,
TOhh!!! PiyaR seY Itna PiYaR KAro,
Key!! PiyaaR Kisi ouR PiYaaR Sey PiyaR na Karey.

Kaisa ajeeb zamana hai,
Kaun samjha kiss ne jaana hai,
Kaash wo hum se juda naa hoote,
Jinke liye ye dil aaj bhi deewaana hai.

Hum aapki nazron se door hai,
Aankhon se nahi,
Khawabon se dur hai,
Khayalo se nahi,
Dil se dur hai,
Dhadkhan se nahi,
Aap se dur hai,
Aapki yaadon se nahi..

Tere pyaar me wo kar ke dikhau,
Marne ko keh do to marr ke dikhau,
Phir se janam le ke iss duniya me aayu,
Tamanna phir bhi yahi hogi tujh ko hi paaun.

Aankhe oonchi hui to dua ban gayi,
Aankhe nichi hui to haya ban gayi,
Jab jhuk ke oothi to khata ban gayi,
Aur ooth kar jukhi to adaa ban gayi.

Khamoshi aap ki hum se baat karti hai,
Humari har aah ka dard samajhti hai,
Pata hai majboor ho aap,
Lekin aankhe aap ke deedar ko tarasti hai.

masoom chera nigahien farebi, labon pe hansi or dil meinm dagha hai
nazar mien basa k nazar pher lena yeh kesi mohabbat hai yeh kesi wafa hai...?

Sapne ki tarah tujhe saja ke rakhu,
Chandini raat ki nazroon se chupa ke rakhu,
Meri taqdir mere saath nahi,
Warna zindagi bhar tujhe apna bana ke rakhu.

Roone de aaj tu hum ko tu aankh sujaane de,
Baahon me le-le aur khud ko bhig jaane de,
Hai jo seene me kaid dariya wo chut jaayege,
Hai itna dard ke tera daman bhig jaayega.

Anjaane me dil gawa baithe,
Pyaar me ye kaisa dhokha kha baithe,
Unn se kya gila kare bhool humari hi thi,
Jo bina dil waalon se dil laga baithe.

Waqt itraayega hum bikhar jaayege,
Kaun jaane hum kidhar jaayege,
Hum to aap ki parchayi hai,
Jahan tanhayi milli waha hum nazar aayege.

Tumhara ishq tumhari wafa hi kafi ha,
Tamam umar ye aasra hi kafi ha,
Kabhi jo milo hum se to milke muskura dena,
Khushi ke wastey ye silsila hi kafi ha,
Mujhe bahar ke mausam se kuch nahe lena,
Tumhare pyar ki rangeen fiza hi kafi ha,
Tumhara ishq tumhari wafa hi kafi ha,

Kabhi ham pay woh jan dia kartay thay...
Jo ham kehtay thay woh maan lia kartay thay...
Ajj pass sai anjaan ban kar guzar gay...
Jo dooor sai hi pehchan lia kartay thay...!

Mera lafz lafz dua dua, Mere aansuon se dhula hua,
tujhay zindagi ke wo sehar miley, tujhay muhabaton ka safar miley,
Tujhay dard-o-gam na kabhi choo sakay,
ye dua hai koi gila nahe,
tujhay zindagi main wo sakoon milay,
jo kisi ko kabhi mila nahe !!!!!!!

Wo pyari nigah sada yaad rahe ge,
Mil kr na milne ke ada yaad rahe ge,
Mumkin ha mere baad wo mujhe bhula dein,
Lakin umer bhar un ko meri wafa yaad rahe ge,

Palkon se raaste ke kaante hata denge,
Phool to kya hum dil bicha denge,
Tootne naa denge iss pyaar ko kabhi,
Badle me hum khud ko mita denge.

Naino me basey ho aap humari,
Apna pyaar yuhi aabaad rakhna,
Mujhe to aadat hai aap ko yaad karne ki,
Agar hichkiyaan aati rahe to maaf karna.

Zindagi ki raho pe jab aage jaoge,
Peeche ek saya tum hardam paoge,
Mudke dekhoge to tanhai hogi,
Agar mahsoos karoge to humko paoge.

Ae dil na dhadak itni zor se,
Kahin awaaz unhe sun na jaye.
Vo dhadkno ki zuban samajhane lage hai,
Kahin dil ke raaz khul na jaye.

Kisi ko meri yaad aye ek arsa hua,
koi hai hairan to koi tarsa hua.
Is tarah khamosh hain ye dil ye aankhe meri,
Jaise khamosh ho koi badal barsa hua.

Apna Pan Sekha Kar Judda Ho Gai
Na Soocha Tha Samjha Khafa Ho Gai
Duniya Main Ab Hum Kis Ko Apna Kehain Gain
Woh Bhi Sab Ki Tarhan Bewafa Ho Gai

Yoon Tou Yaadain Poorani Nahin Hoteen
Pyaar Paana Sabki Kismat Nahin Hoti
hum Dil Rakh Aaye Hain Un Kay Dar Per
Yeh Jaantay Hue K Unki Nazrain Zameen Per Nahin Hoteen

 

Tujhe Chahne Wale Kum Na Hon gein
Waqt Ke Saath Shayad Hum Na Hon gein...
Chahe Kisi Ko Kitna Bhi Pyaar Dena
Lekin Teri Yaadon Ke Haqdar Sirf Hum Hi Hon gein

Haathon Say Gir Gae Lakeerain Kahin
Bhool AYe Hum Apni Taqdeer Kahin
Agar Tum Ko Milay Kahin Tu Utha Lena
Merey Hissay Ki Khushi Hathon Main Apnay Saja Lena

 

Apna Dil hi apni batoon ka sabab hota hai
Yeh Jawani ka Zamana bhi ajeeb sarmast hota hai
konsi baat ne kab kiska dil toor dia
bolnay walay ko ehsaas hi kab hota hai

Dard Ko bhi Ab Dard Hone laga hai,
Dard Khud hi Mere Zakham dhone lagha hai,
Dard ke sath kabhi Roye na hum,
Dard Khud hi Humko chhu kar Rone Laga hai ...

Bicher Gay yo Milnay ki Aas Kia Rakhna
Hawa k Jhoonkoon Hisab kia Rakhna
Bs is Khayal SayMuskara Diay Hum
K Apni Udassi SE Kisi Ko Udass Kia Rakhna!!!

Bagho mein phool hota hain
aur phoolo ka kuch asool hota hain
woh kitna khushnaseeb hota hain
jinka tofa kabool hota hain.

Waqt Ki Aanch Pe Pathar Pighal Jate Hain,
Kehkahe Toot K Aansuon Main Badal Jate Hain,
Kon Kisi Ko Yaad Karta Hai Umer Bhar,
Waqt Ke Saath Khyalat Badal Jate Hain,

Aankho me armaan diya karte hai,
hum sabki neend churaliya karte hai,
jab jab aap ki palke jhapkegi to
samajh lena hum aapko yaad kiya karte hai

Hum hi me thi wo baat,
Jo yaad naa tum ko aa sake,
Tum ne hume bhula diya,
Par hum tumhe naa bhula sake.

Hum ne to jaan loota di pyaar me,
Mehboob ne hi dhokha de diya,
Hum ne to khushiyaan maangi thi,
Uss ne hi zindagi bhar kaa gum de diya.

Kabhi-kabhi dil zaroor roota hai,
Jab koi mill kar nazroon se door hota hai,
Iss liye rooti hai kambakth aankhe,
Kyun ki dil se zyada inn ka kasoor hota hai.

Na sawal ban kay mila karoo, na jawab ban kay mila karo
Meri zindagi meray khuwab hain,Mujhay khuwab ban kay mila karo
Mujhay achay log buhat milay main un kay qaraz say mer gaya
Jo ho sakay to kabhi kabhi mujhay kharab ban kay mila karo

sitam karo ya karam karo hum gila nahi kerte..
yaqinan khizaan mein phool khila nahi kerte..
mila do khak mein hum ko magar yaad rakhna..
hum jese dost phir mila nahi kerte

Humnay Dil Tora Dharkanoun Kay Khauf Say
Apni Basti He Mita Di Barishoun Kay Khauf Say
Kon Kehta Hai Hamein Mohabbat Ras Agaye?
Hum Tu Youn He Hans Daitay Hain Ansoun Kay Khauf Say

Dil Ne Tere Pyar Par Majbor Mujhe Kar Diya
Is Jahan Ki Har Khushi Se Duur Mujhe Kar Diya
Jis Qadar Chaha Tha Dil Ne Paas Tere Aane Ka
Us Qadar Dunya Ne Tujh Ko Duur Mujh Se Kar Diya

Kia poochtay hoo hijir mai kia kiya kartay hain
Teray loot aanay ki din raat dua kartay hain
Kabhi yadoon mai tujhay bahoon mai bhar laytay hain
Kabhi khuwaboo mai choom liya kartay

Main raiza raiza hawa main bikhar gia chup chaap,
Teray firaq ka mosam guzar gia chup chaap,
Kisi nay kaan nah meri sada-e-dil pay dharay,
Meray wajood main ek shakhs mar gia chup chaap

Teray gally mai jo bahoon ko dal rakhtay hain
Tujhay mana nay ka kaisa kamal rakhtay hain
Tujhay maloom hai tujhay soochnay ki khatir
Bohot say kam muqaddar pay tal rakhtay hain

Kitab-e-zindagi ka woh meri khoobsurat baab tha
Youn harf harf parha jaisey woh mera nisaab tha
Sar-e-raah mujhay choor kar jo kisi oor ka ho liya
Wohi shaaks jisey chaha main nay behisaab tha

Safer ki ibtida howi k tera khayal aa gaya
meri zameen k saamney aik aasmaan aa gaya
ye faisla howa k meri shanakht aaina karey
mager ye kiss ka akss hai jo dermiyan aa gaya

Jo PooChta Hai k0i SurKh anKhen hain kYon aaJ
t0 aanKh mal kar kehta h0n raat s0 na saKa
aZar chah0n maGar Yeh keh na saKon Ga Kabhi ke
raat r0ne ki khuWahiSh thi maGar r0 na saKa...

mana ke har eik ki zindagi mein ghum ate hain magar
jitne ghum mujhe mile utni meri umer na thi..

Kitabon Say Daleel Don Ya Dil Ko Samney Rakhun
Woh Mujh Say Pooch Baithay Hain Mohabat Kis Ko Kehtay Hain

falak ke teer ka dekha kya nishaana tha
aik taraf asmaan ki bijli aik taraf mera ashiyana tha

poohanch rahi thi jab kinara kisthi-e umeed
us waqt iss toufaan ko bhi ana tha

Sab ke honton pe tabassum tha merey Qatal key baad
Jaaney kiya soch ke rota raha Qatil Mera

Meri Takmeel mein Hissa hai Tumhara bhi buhut
Mein agar Tum sey na milta tou Adhoora rehta

kal Dhoop kay Mailey say khareedey thay khiloney
Aik mom (wax) ka putla tha jo Ghur tak nahin pohancha

Haath Uss ke bhi huey hon gey yaqeenun Zakhmi
Jiss ne Kaantey Meri Raahon mein bich'haaey hongey

is ki khwaish hain k angan main utre suraj
bhol betha hain k khud mom ka ghar rakhta hain

Dil jal kar khak howa Ankhoon say roya na gaya
Zakham kuch aisey lagey Phoolon par soya na gya

Nafratoon ki kitab parh kay mohabbatoon ka paigam likhna
Bauhat mushkil hai khizaan kay mathay per dastan-e-ghulab likhna

Zuhair Nasir Bhiriya